veg chowmin ki recipe | veg chowmin kaise banate hai

chowmin-ki-recipe

Hello guys welcome to my new website ☺️ me aapki sapna i hope ki aap sab acche honge. To guys aaj me lekar aai Hui aapke liye sabse aasan or bahot jaldi banne vali recipe veg chowmin ki recipe to chaliye guys me aapko batati hu me veg chowmin kese banate hai.

veg chowmin banane ki vidhi

Sabse phele aapko haff boil vale noodles lene jo market me aasani se mil jate ager ye nahi mile to aap packet vale noodles bhi le sakte ho . Sabse phele ek bhagone me 3 cup Pani boil kar lena hai jab pani boil ho jaye to usme 2 spoon salt dal dena hai and usme haff boil vale noodles dal Dene hai noodles dalte hi unko ek baar karchi se mila lena hai jisse noodles chipke nahi or usme sath me hi 1 spoon oil dal dena hai noodles ko bas kam se kam 3 se 4 minutes Tak boil karna hai jayeda boil nahi karna hai noodles ko check kar lena hai ki noodle gal gaya hai yaa nahi aap ek noodle nikal kar check kar sakte ho hath ki help se ager noodle aasani se bich me toot Raha hai to vo gal gaya hai ab gas ko off kar dena hai or uss bhagone me se noodles ko kisi jalidar karchi me rakh dena hai jisse usse pani nikal jaye noodles nikalne ke baad noodles ke uper thoda pani dalkar unko wash kar lena hai jisse noodles khile khile rahe and unko ab uski jalidar karchi me rakh dena hai noodles ka pani nikalne ke baad noodles ko kisi thali ya parat me thanda hone ke chod dena hai kam se kam 5 minutes Tak

tab tak baki ki sabjiya kat leni hai ager aapke pass red ya yellow yaa bhi green capsicum chill hai to aapko unko patle patle silices me kat lena and 2 onion bhi patle patle silices me kat kar leni hai and usme aadhi cabbage bhi ese hi kat leni hai or carrot ko bhi ese hi patle patle silices me kat kar lena hai or 4 se 5 hari mirch barik kat leni hai or 5 se 6 garlic ki kaliya bhi barik kat leni hai

ab sari sabjiya katne ke baad ab noodles banane ke liye gas ko on karke usper kadhai me thoda sa oil dal dena hai noodles banane ke liye gas ko sabse jayeda high flame per rakhna hai oil me tab tak dhua nahi uthne lage tak tak kuch nahi dalna uske baad usme hari mirch or garlic Kati hui dal deni or 20 second tak pakani hai and usi me onion bhi dal deni hai or cabbage capsicum carrot bhi dal deni hai or in sabko mix kar lena hai or kam se kam 5 tak rost kar lena hai jab tak sari sabjiya pak naa jaye sari sabjiya pakne ke baad usme noodles dal Dene hai or tamato ketup and vinegar and dark soya souce bhi add karna hai and 1 spoon salt and and aadhi spoon kali mirch powder or 1 spoon ajinomoto masala dal dena bas in sab chijo ko mix kar lena hai or 2 minutes Tak fry kar lena hai aap dhekhoge ki aapki veg chowmin bankar ready ho chuki bahot hi aasan or jaldi hi

to guys aaj ka vlog bas itna hi milte hai agli new recipe ke sath ese hi new recipe shikne ke liye meri website per aaye. Thanks 👍

veg chowmin se jude sawal jawab

veg chowmin banane ke liye kaun se noodles use karne chahiye?

Sabse phele aapko haff boil vale noodles lene jo market me aasani se mil jate ager ye nahi mile to aap packet vale noodles bhi le sakte ho.

noodles ko kitne time tak boil karna chahiye?

noodles ko bas kam se kam 3 se 4 minutes Tak boil karna hai jayeda boil nahi karna hai.

kaise pata kare ki noodles gal gaye hai?

aap ek noodle nikal kar check kar sakte ho hath ki help se ager noodle aasani se bich me toot Raha hai to vo gal gaya hai.

sabjiya kaise cut karni chahiye chowmin ke liye?

sabhi sabjiya patle patle silices me kat leni hai jaise capsicum onion cabbage carrot aur hari mirch aur garlic barik kat leni hai.

chowmin banate time flame kaisi honi chahiye?

noodles banane ke liye gas ko sabse jayeda high flame per rakhna hai.

chowmin me kaun kaun se sauce use hote hai?

tamato ketup and vinegar and dark soya souce add karna hai.